Na Zindagi Se Hairan Kabhi Tha,
Na Kisi Baat Se Pareshan Kabhi Tha.
Na Thi Mastak Par Koi Shikan,
Khushiyan Thi Faili Har Pal.
Fir Na Jaane Tha Kya Hua Azab Sa,
Paya Khudko Tha Bhavar Mein Fasta.
Taklifon Se Ladne Ki Mujhko Adat Na Thi,
Kaise Haste Hain Gam Mein, Kabhi Thi Kalpana Na Ki.
Musibat Mein Jab Ghira, To Ladne Ki Koshish To Ki,
Na Hua Safal, Par Thi Meri Kuch Himmat Badh Gayi.
Zindagi Hai Kitni Aasan, Ye Bhram Tha Mera Toot Gaya,
Apne Ko Isse Ladta Dekh, Fikron Ko Main Sab Bhool Gaya.
Zindagi Ki Kimat Ab Mujhko Samjh Thi Aa Gayi,
Karna Hai Kuch Jeevan Mein Mujhko, Umang Thi Jag Gayi.
Socha Bahut Karne Ko Maine, Banke Soch Hi Reh Gayi,
Iradon Ke The Fool Khilaye, Ab Mehak Thi Reh Gayi.
Wo Soch Thi Mujhko Zindagi Ka Asal Mantra Sikha Gayi,
Aur Kuch Na Hua To Kya Gam Tha, Ik Kavita Kara Gayi.