ROHIT GOYAL

Na Zindagi Se Hairan Kabhi Tha,
Na Kisi Baat Se Pareshan Kabhi Tha.

Na Thi Mastak Par Koi Shikan,
Khushiyan Thi Faili Har Pal.

Fir Na Jaane Tha Kya Hua Azab Sa,
Paya Khudko Tha Bhavar Mein Fasta.

Taklifon Se Ladne Ki Mujhko Adat Na Thi,
Kaise Haste Hain Gam Mein, Kabhi Thi Kalpana Na Ki.

Musibat Mein Jab Ghira, To Ladne Ki Koshish To Ki,
Na Hua Safal, Par Thi Meri Kuch Himmat Badh Gayi.

Zindagi Hai Kitni Aasan, Ye Bhram Tha Mera Toot Gaya,
Apne Ko Isse Ladta Dekh, Fikron Ko Main Sab Bhool Gaya.

Zindagi Ki Kimat Ab Mujhko Samjh Thi Aa Gayi,
Karna Hai Kuch Jeevan Mein Mujhko, Umang Thi Jag Gayi.

Socha Bahut Karne Ko Maine, Banke Soch Hi Reh Gayi,
Iradon Ke The Fool Khilaye, Ab Mehak Thi Reh Gayi.

Wo Soch Thi Mujhko Zindagi Ka Asal Mantra Sikha Gayi,
Aur Kuch Na Hua To Kya Gam Tha, Ik Kavita Kara Gayi.


ROHIT GOYAL


Aaj Din Khush-haal Hai, Mast Mast Sa Haal Hai.

Dil Mein Hai Umangen Bhari, Yaaron Pe Sab Kurbaan Hai.

Khushiyan Hain Bikhri Padi, Ik Naya Ehsaas Hai.

Yaaron Se Hi Ab Pehchaan Hai, Sang Pal Bitaye Yaad Hain.

Karvan Ye Ruk Na Paye, Yaaron Ka Jab Sath Hai.

Raat Ke Andhere Mein Bhi, Saaye Sa Unka Sath Hai.

Yaaron Ka Na Sath Choote, Ab Rab Humse Na Roothe.

Zindagi Gulzaar Hai, Jab Tak Yaaron Ka Sath Hai.

Apna To Kuch Aisa Haal Hai, Yaaron Ke Bin Na Jaan Hai.

Aaj Din Khushaal Hai, Mast Mast Sa Haal Hai.
ROHIT GOYAL
 
Aansuon Ki Dastaan Bhi Kitni Ajeeb Hoti Hai,
Kabhi Khushi,Kabhi Gam Kabhi Tehzeeb Hoti Hai.

Dil K Jasbaaton Ki Tasveer Hoti Hai,
Kabhi Khushnuma To Kabhi Gambhir Hoti Hai.

Bante Bigadte Rishton Ki Jangeer Hoti Hai,
Kabhi  Uljhi Uljhi To Kabhi Haseen Hoti Hai. 

Haathon Mein Likhi Lakeeren Takdir Hoti Hai,
Aansuon Ki Dastaan Bhi Kitni Ajeeb Hoti Hai.